Wednesday, 27 August 2014

Hmmmmmmmmmmm!!!

Usse dulhan sa sajaya ja raha tha
mujhe sukun se nehlaya ja raha tha

kuchh log uske kareeb the
kuchh log mere kareeb the

Aansu ghum ka uski aakho se gira ja raha tha
Mujhse kuchh bhi nahi kaha jaa rha tha

Dunhal ban ke ab wo muskura rahi thi
sandal ki kushbu mujhe aa rahi thi

usski majlis me har shaks hasse ja raha tha
Majma meri mehfil ka mujhe hi taka ja raha tha

Kaazi uska Nikah padha raha tha
Maulwi yaha Safe bandhwa raha tha

Dunyavi naam uska badla raha tha
Takhti pe mera naam likha jaa raha tha

Usse doli me bithaya jaa raha tha
mujhe kaandho pe uthaya jaa raha tha

Usse apnaya jaa raha tha
mujhe dafnaya jaa raha tha!!!!!!!!!!!!